Journal

KarmSutra

M
4 min read

Krishna ke कंधों par kaal tha, kaanon mein karm ka kaayam gyaan

Kurukshetra ke kankar-kankar karte kaayar ka kampan-pramaan

Kaurav ke कुटिल kaanch mahal, karm ke keher se khaak hue

Karna ke kathor kashton ko, keval कृष्ण hi jaan सके

Kunti ke karz ka kaala dard, कुंठित kaaya ka kaaran bana

Kapat ke कक्ष mein kaid sach, kalankit kaanoon ka shaasan bana

Krur कसम kha kar kai kulon ne khud ka khoon hi kaat diya

Krishna ke keval kathnon ne, kaam-krodh ka kaand khol diya

Kaalchakra ke kandhon par kitne kaayar ka kampan tha

Karma ke kaagaz par likha har kshatriya ka kan-kan tha

Keshav ke keval karm-sutra ne kaali raat ka kaat kiya

Kurukshetra ke keechad mein bhi, कमल sa dharm vikaas kiya

Raakh-rang रणभूमि rahi, रथ rukte rahe, रुदन raha

Rakta-ranjit रिश्तों ne rajdharma ka roop kaha

Ravan-roopi raajneeti mein रंक bhi raaj-si rooh liye

Rishi-roopi raag rachne waale राक्षस jaise dikhne lage

Rann mein रौद्र ravayya rakha, रिवाज़on ko रौंद diya

Rinn raha rashtron par itna, राम naam bhi bech diya

Rudra-rosh se रचित rachna, रग-रग mein rebellion tha

Raah dikhaane waala hi yahaan रोज़ siyaasat ka shikaar bana

Rathon ke raaste रुकte nahi, रगों mein रण ka राग raha

Rajmukut ke rang ke neeche, रोज़ raajdroh ka daag raha

Rashtra-roopi रिश्तों ko bhi, रंजish ne raakh bana diya

Roti-rooh-rivaazon tak ko, raajneeti ne baant diya

Bheeshm बाणों बंधे bistar par, Bharat bhaari bhoj bana

Bhookha baalak bheekh maange, baahar baitha भोज बना

Bhrasht बिचौलियों beech बंटी Bharat-bhumi बेहाल hui

Bhairav-bhaav bhari bhaasha bhi, बेबस hokar बेहाल hui

Bhakti bhool baithe bande, bhaagya bharose bhaagte rahe

Bhed-bhare bazaaron mein bas बिकते sach aur jagte vehm

Brahmastra bani bhaasha jab bhi, badle bhaav samaaj ke

Bhookamp bane bol toh bikhre, bhes badal kar raaj ye

Bharat ke bhavya bhavishya par bhi, bhram ka bada bojh raha

Bhookh badhi par बेशर्म भवनon mein bas bhoj raha

Bandhan bante-bante toot gaye, bhaichara barbaad hua

Bheeshm sa buddha Bharat bhi, बेआवाज़ barbaad hua

Shankh-swar se shuru shastra, shoorveeron ka shaap bana

Shishya shreshth bhi shok mein dooba, shaasan jab abhishaap bana

Sudarshan sa sach ghooma toh, सिंहासन sab saaf hue

Sanskaar se shoonya samajh ke, saare sambandh khaak hue

Saarthi sirf श्रीकृष्ण the, shabd hi जिनके शस्त्र बने

Swayam samay bhi sar jhukata, satya jab unke पक्ष तले

Shiv sa shaant, samandar sa gehra, shoonya sa unka स्वर raha

Sansaar samjha छल unko…

Sach toh ye — वो स्वयं समय ka स्वर raha।

Shastra se shaktishaali sirf shabd ka saar raha

Shok se shuddh hua jo, wahi sachcha yoddha tayyaar raha

Suryast sa sannata chhaya, sab sambandhon ka shraadh hua

Sirf saarathi sachcha nikla…

Saara sansaar viraat prashn hua।

Vish-vriksh viksit hue, veda-vani veeran hui

Vansh-vinaashak vaad-vivaad mein वीरता bhi hairaan hui

Vikraal viplav vaayu banke, वीरon ke vachan udaaye

Vesh badal kar वैरीyon ne, vishwas ke veen bajaaye

Vanvas-वेदना vehm nahi thi, वीर-परीक्षा vishal thi

Vikarn-vrati vichaar dabey, विजय bhi kai baar malaal thi

Vidhwansak vaani waalon ne, vyarth vivaad viraasat kiye

Vaasudev-vichaaron waalon ne, vish ko bhi अमृत sa piye

Vinaash ke veerane mein bhi, vivek ka vriksh zinda tha

Vyas ke vachan ke bheetar, vishwa ka vishleshan zinda tha

Virat-vichaaron waale hi, vakt ke vaar se bach paaye

Varna vanshon ke vaibhav bhi, वज्र sa toot bikhar jaaye

Aham andar aandhi bankar, अर्जुनon ka antar tod gaya

Adharmon ka अट्टहास bhi, antim aakar chhod gaya

Astra alag the, aag alag thi, आक्रोशon ka arth alag

Aatma aur adhikaaron ke, aadhe-aadhe yudh alag

Aastha agar andhi ho toh, अधर्म bhi avtaar lage

Aagyaheen astitvon ko, anyay bhi sanskaar lage

Anant aakashon andar ab bhi, अंधकार ka adhiveshan hai

Aur adhura aadmi har yug mein…

Apna hi Ashwatthama hai।

Aakhri adhyay aaj bhi andar, अराजक aag jagata hai

Aatma aur अहंकार ka antar aadmi kab samajh paata hai?

Aaj bhi andar Arjun rota, aaj bhi andar Krishna hai

Aur aaj bhi har jeevan mein…

Apna ek Kurukshetra hai।

“Karmanye vadhikaraste” — कृष्ण ka kaayam kathor vachan

Karm kar, kalank kaat, kyunki kaal hi karta antim chayan

Kalakaar ka kaam keval kala nahi — kaal ko kaagaz karna hai

Kurukshetra ab bhi kaayam hai…

Kaun Krishna, kaun Kaurav — khud ka karm hi kehna hai।